Digichal app kya hai ? Digichal digital khata app kaise use kare?



Sirf business chalana hi mehnat ka kaam nahin hai, business ka hisaab kitaab sambhalna bhi kadi mehnat ka kam hota hai. Kitni sales huyi ya kitne kharch hua is sab ki jaankari hona businessman ke liye bahot zaroori hai. Saath hi sale udhar khata upto date rakhna har business ke liye anivarya hai. Business ke sabhi khaton ki jankari hone par hi veh aanewale kal ki behtar planning kar sakta hai.


Business ki accounting ke liye pehle businessman ghantoon manual bahi khate main apna samay bitate the. Par ab technology ki madat se business ka hisaab mobile main bhi rakha ja sakta hai. Digichal ka digital khata book aisi ek app hai jo businessman ki is chunauti ko saral banane main unki madat karta hai.


Digichal app kya hai?


Koi bhi business ho, bada ya chhota, har businessman apne mobile main ye app download karke apna udhaar, expense, aur उधार खाता ऐप jhat se bana sakte hain. Bas app download karke apne business ki har jankari store ki ja sakti hai bas ek click main. Digichal ka digital khata purane bahi khate se zyada surakshit hai. Na chori ka dar na kharab hona ka. Digichal ke digital khata book 100% muft hai aur koi bhi businessman usse asaani se use kar sakta hai. 


Digichal digital khata app kaise use kare?


Is app ko download karne par aap apne business ka pata ismain store karen. Fir har roz ka hisaab ismain store karen. Is main har tarah ka hisaab jaise sales, expenses aur udhaar store kiya ja sakta hai. Aur yeh hisaab aapko kahin bhi aur kabhi bhi apne mobile se uplabhdh ho jata hai.


  • Digital udhar khata online - Is app pe aap apne business ke sabhi udhaar ki jankari store kar sakte hain. App main store huyi jankari se aap apne grahakon ko payment reminder bhi bhej sakte hain. Udhaar ke bhuktaan ke liye aapko ab ghar ghar jaane ki zaroorat nahin hai.


  • Expense digital khata app - Is app main aap apne business ka har expense bhi store kar sakte hain. Har saptah ya fir har mahine ke ant main aap expenses ko compare kar sakte hain aur aane wale dino ke liye apne expenses ko control bhi kar sakte hain.


  • Sale digital Khata - Daily sales is app main store karen aur saath hi professional invoices customer ke saath share kar sakte hain. 


Digital khate ke saath Digichal aapko apni dukaan online bananeka bhi option deta hai. Digichal ki digital dukaan option se bas do asaan steps main apni dukaan ko banaye digital. Yeh app har businessman ko karobaar badhaane par dhyaan kendrit karane mein madad karata hai. Aaj hi डिजिटल दुकान ऐप download karen aur banaye aapne business ko digital.


Comments

Popular posts from this blog

What Is Dukaan App? How To Use And Who Can Use The application?

Digichal Digital Khata book or digital dukaan for your retail business

4 Ways To Improve Your Online store Presence With The digichal- digital khata app